Importance of family
Family is very important for us. types of family, family word, definition of family love, importance of family, family members, nuclear family.Hello guys, welcome to my blog kese ho aap sab ummid karta hu aap sab bahut acche honge or apni life full masti k saath enjoy kar rahe honge.
So guys, aaj jis topic ko ham touch karne wale hai us toipc ka name hai family. Actually bahut zaroori bhi hai is topic ko touch karna because, aaj kal sub apni life mein busy. Kisi k pass apni family ke saath time spent karne ka time nhi hai.
So, let's come on the topic.
"Importance of family"
Family, parivaar jahan apne log hote hai hamesha hamein sahi rasta dikhate hai, har pal hamari chinta karte hai.
importance of family
Aapke parivaar ki sabse pramukh sadsya aapki maa, jo hamesha apne parivaar ko sambhaalne ki koshish karti hai ki kisi bhi haal mein ye parivaar bikharne na paaye iske liye na jaane wo kitni kurbaaniya deti hai.
Jab aap paida huye us samay aapki maa muskuraayi khush huyi ki mera rajkumar aa gaya mera beta aa gaya wo bas aapko dekhti or pyar karti or usne kitne sapne saja liye mera beta mera sahara banega, mera naam roshan karega. Aapke papa khushi se fule nhi samaye jab unhe pata chala ki unka rajkumar/rajkumari aa gayi aapke papa ko yah ummid jagi ki zindgi mein main jo nhi kar paya wo mera beta kar ke dikhayega mere sapne ab mera beta/beti pura karegi.
importance of family
Pure parivaar mein khushi ka mahol hai, mithaiyaan bant rahi hai sab badhaaiyaan de rahe hai Mubaarak ho aap papa ban gye, mubaarak ho mubaarak ho.
Samay bita dhire-dhire ham bade huye, apne pairon pe chalne lage. Papa se khilaune maangne ki zid karna, dada ji ke kandhe per baith ke ghumna, dadi se kahani sunna, maa se lori sunne ke baad sona kitna accha hota hai ye family ka love or hamara bachpan.
importance of family
Yaha se badlti hai aapki zindgi ki kahani yaha se love ka matlab aapke liye puri tarah change ho jata hai. Ye aapke life ka wo time hai jis time pe aap school college mein hote ho. fir aap family se jyada time dosto, girlfriend, boyfriend ke saath spend karte ho. Yaha se aapke liye aapki family ki value down hone lagti hai. Main ye nhi kahta ki saare ladke ese hote hai ya fir saari ladkiyaa esi hoti hai. Aaj love ek date, candlelight dinner, hotels mein jana party karna, breakups etc. ban k rah gaya hai.
family love |
Ab aapke pass touch phone hai "aaj touch sab ke pass hai but touch mein koi nhi hai". Bachpan mein jo maa ek pal na dikhe aapko toh aap pareshaan ho jaate the, rone lagte the. Ab us maa se jyada aapko aapki girlfriend(anjaan ladki) ki fikar hai har time phone mein babu tum ghar pahunch gyi, babu kal college aaogi, babu tumne khana khaya kya aapne ek baar bhi apni maa se pucha ki maa tumne khana khaya, kya aapne kabhi papa se aapne pucha ki aap kyu pareshan ho papa.
Ghar se aap baar baar bahar jaate ho ghumne maa sirf ek sawal puchti hai "tu baar baar kaha ja raha hai ?" , toh aap chilla ke bolte ho "are yaar mummy toka mat karo baar baar" toh maa bina kuch bole chup ho jati hai. Esa kyu karte ho aap kyu ki aap bade ho gye ho. Ab toh aapki first priority aapki girlfriend hai. Wo choti si baat pe gussa ho jati hai toh aap whatsapp ka inbox full kar dete ho message bhej kar ki sorry babu, ab se esa nhi hoga, maaf kar do, m tumhe surprise dunga, i love you. Kya aapne apni maa ko sorry bola tha jab aap wapas ghr aaye the ki maa ab se main ese baat nhi karunga.
family love |
Guys, i request you please apni family ke saath time spend kijiye. Aapke mata-pita hamesha aapke saath nahi rahenge. Aap baitho unke saath aapko wo saare sapne unki aankhon mein nazar aayenge jo tab unhone dekhe the jab aap paida huye the. First priority aap apni family and apne mata-pita ko dijiye. Unke sapne pure kijiye. Jab aapko dukh mein kisi ki jarurat hogi toh mata-piata hi sahara denge aapko. Aapki girlfriend nhi.
"Thankyou"
if you want to know about patience click here
how to keep patience
tik tok